Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard ke mausam ka kya hoga asar anjaan par

Shakeb Jalali

dard ke mausam ka kya hoga asar anjaan par

Shakeb Jalali

MORE BYShakeb Jalali

    dard ke mausam kyā hogā asar anjān par

    dosto paanī kabhī ruktā nahīñ Dhalvān par

    aaj tak us ke ta.āqub meñ bagūle haiñ ravāñ

    abr TukḌā kabhī barsā thā registān par

    maiñ jo parbat par chaḌhā vo aur ūñchā ho gayā

    āsmāñ jhuktā nazar aayā mujhe maidān par

    kamre ḳhālī ho ga.e sāyoñ se āñgan bhar gayā

    Dūbte sūraj kirneñ jab paḌīñ dālān par

    ab yahāñ koī nahīñ hai kis se bāteñ kījiye

    ye magar chup-chāp tasvīr ātish-dān par

    aaj bhī shāyad koī phūloñ tohfa bhej de

    titliyāñ mañDlā rahī haiñ kāñch ke gul-dān par

    bas chale to apnī uryānī ko us se Dhāñp luuñ

    niilī chādar tanī hai jo khule maidān par

    vo ḳhamoshī uñgliyāñ chaTḳhā rahī thī ai 'shakeb'

    ki būñdeñ baj rahī thiiñ raat raushan-dān par

    dard ke mausam ka kya hoga asar anjaan par

    dosto pani kabhi rukta nahin Dhalwan par

    aaj tak us ke taaqub mein bagule hain rawan

    abr ka TukDa kabhi barsa tha registan par

    main jo parbat par chaDha wo aur uncha ho gaya

    aasman jhukta nazar aaya mujhe maidan par

    kamre KHali ho gae sayon se aangan bhar gaya

    Dubte suraj ki kirnen jab paDin dalan par

    ab yahan koi nahin hai kis se baaten kijiye

    ye magar chup-chap si taswir aatish-dan par

    aaj bhi shayad koi phulon ka tohfa bhej de

    titliyan manDla rahi hain kanch ke gul-dan par

    bas chale to apni uryani ko us se Dhanp lun

    nili chadar si tani hai jo khule maidan par

    wo KHamoshi ungliyan chaTKHa rahi thi ai 'shakeb'

    ya ki bunden baj rahi thin raat raushan-dan par

    Source :
    • Book : Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 119)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now