Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt milta hi nahin hai muskurane ke liye

Ashant Barabankavi

waqt milta hi nahin hai muskurane ke liye

Ashant Barabankavi

vaqt miltā nahīñ hai muskurāne ke liye

dard baaqī bachā bas gungunāne ke liye

kuchh kamāne ke liye ghaTtā rahā huuñ rāt-din

so nahīñ paayā huuñ kab se chaar aane ke liye

qarz ik ik saañs is 'umr par apnī hai yaar

har jatan maiñ ne kiyā us ko lubhāne ke liye

har qadam rusvā kiyā hai is ġharībī ne mujhe

kuchh nahīñ hai paas 'mūsā' ab dikhāne ke liye

waqt milta hi nahin hai muskurane ke liye

dard hi baqi bacha bas gungunane ke liye

kuchh kamane ke liye ghaTta raha hun raat-din

so nahin paya hun kab se chaar aane ke liye

qarz ek ek sans ka is 'umr par apni hai yar

har jatan main ne kiya us ko lubhane ke liye

har qadam ruswa kiya hai is gharibi ne mujhe

kuchh nahin hai pas 'musa' ab dikhane ke liye

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now