dasht o sahra agar basae hain
dasht o sahrā agar basā.e haiñ
ham gulistāñ meñ kab samā.e haiñ
aap naġhmoñ ke muntazir hoñge
ham to fariyād le ke aa.e haiñ
ek apnā diyā jalāne ko
tum ne lākhoñ diye bujhā.e haiñ
kyā nazar aa.egā abhī ham ko
yak-ba-yak raushnī meñ aa.e haiñ
yuuñ to saarā chaman hamārā hai
phuul jitne bhī haiñ parā.e haiñ
dasht o sahra agar basae hain
hum gulistan mein kab samae hain
aap naghmon ke muntazir honge
hum to fariyaad le ke aae hain
ek apna diya jalane ko
tum ne lakhon diye bujhae hain
kya nazar aaega abhi hum ko
yak-ba-yak raushni mein aae hain
yun to sara chaman hamara hai
phul jitne bhi hain parae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.