Dasne lage hain KHwab magar kis se boliye
Dasne lage haiñ ḳhvāb magar kis se boliye
maiñ jāntī thī paal rahī huuñ sañpoliye
bas ye huā ki us ne takalluf se baat kī
aur ham ne rote rote dupaTTe bhigo liye
palkoñ pe kachchī nīñdoñ kā ras phailtā ho jab
aise meñ aañkh dhuup ke ruḳh kaise kholiye
terī barahna-pā.ī ke dukh bāñTte hue
ham ne ḳhud apne paañv meñ kāñTe chubho liye
maiñ terā naam le ke tazabzub meñ paḌ ga.ī
sab log apne apne 'azīzoñ ko ro liye
ḳhush-bū kahīñ na jaa.e pa isrār hai bahut
aur ye bhī aarzū ki zarā zulf kholiye
tasvīr jab na.ī hai nayā canvas bhī hai
phir tashtarī meñ rang purāne na gholiye
Dasne lage hain KHwab magar kis se boliye
main jaanti thi pal rahi hun sanpoliye
bas ye hua ki us ne takalluf se baat ki
aur hum ne rote rote dupaTTe bhigo liye
palkon pe kachchi nindon ka ras phailta ho jab
aise mein aankh dhup ke ruKH kaise kholiye
teri barahna-pai ke dukh banTte hue
hum ne KHud apne panw mein kanTe chubho liye
main tera nam le ke tazabzub mein paD gai
sab log apne apne 'azizon ko ro liye
KHush-bu kahin na jae pa israr hai bahut
aur ye bhi aarzu ki zara zulf kholiye
taswir jab nai hai naya canwas bhi hai
phir tashtari mein rang purane na gholiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.