Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daur-e-aghaz-e-jafa dil ka sahaara nikla

Firaq Gorakhpuri

daur-e-aghaz-e-jafa dil ka sahaara nikla

Firaq Gorakhpuri

MORE BYFiraq Gorakhpuri

    daur-e-āġhāz-e-jafā dil sahārā niklā

    hausla kuchh na hamārā na tumhārā niklā

    terā naam aate sakte thā 'ālam mujh par

    jaane kis tarah ye mazkūr dobārā niklā

    hosh jaatā hai jigar jaatā hai dil jaatā hai

    parde parde meñ kyā terā ishārā niklā

    hai tire kashf-o-karāmāt duniyā qaa.il

    tujh se ai dil na magar kaam hamārā niklā

    kitne saffāk sar-e-qatl-gah-e-ālam the

    lākhoñ meñ bas vahī allāh pyārā niklā

    ibrat-añgez hai kyā us javāñ-margī bhī

    haa.e vo dil jo hamārā na tumhārā niklā

    'ishq lau se farishtoñ ke bhī par jalte haiñ

    rashk-e-ḳhurshīd-e-qayāmat ye sharārā niklā

    sar-ba-sar be-sar-o-sāmāñ jise samjhe the vo dil

    rashk-e-jamshed-o-kai-o-ḳhusrau-o-dārā niklā

    rone vaale hue chup hijr duniyā badlī

    sham' be-nūr huī sub.h taarā niklā

    uñgliyāñ uTThīñ 'firāq'-e-vatan-āvāra par

    aaj jis samt se vo dard maarā niklā

    daur-e-aghaz-e-jafa dil ka sahaara nikla

    hausla kuchh na hamara na tumhaara nikla

    tera nam aate hi sakte ka tha 'alam mujh par

    jaane kis tarah ye mazkur dobara nikla

    hosh jata hai jigar jata hai dil jata hai

    parde hi parde mein kya tera ishaara nikla

    hai tere kashf-o-karamat ki duniya qail

    tujh se ai dil na magar kaam hamara nikla

    kitne saffak sar-e-qatl-gah-e-alam the

    lakhon mein bas wahi allah ka pyara nikla

    ibrat-angez hai kya us ki jawan-margi bhi

    hae wo dil jo hamara na tumhaara nikla

    'ishq ki lau se farishton ke bhi par jalte hain

    rashk-e-KHurshid-e-qayamat ye sharara nikla

    sar-ba-sar be-sar-o-saman jise samjhe the wo dil

    rashk-e-jamshed-o-kai-o-KHusrau-o-dara nikla

    rone wale hue chup hijr ki duniya badli

    sham' be-nur hui subh ka tara nikla

    ungliyan uTThin 'firaq'-e-watan-awara par

    aaj jis samt se wo dard ka mara nikla

    RECITATIONS

    Khalid Mubashshir

    Khalid Mubashshir,

    Khalid Mubashshir

    daur-e-aghaz-e-jafa dil ka sahaara nikla Khalid Mubashshir

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now