Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dayar-e-hosh ki pahle junun KHabar lena

Natiq Gulavthi

dayar-e-hosh ki pahle junun KHabar lena

Natiq Gulavthi

dayār-e-hosh pahle junūñ ḳhabar lenā

uḌā ke dhuul na miTTī ḳharāb kar lenā

jafā bhī ho to vo tum jaano aur ham jāneñ

na ho kisī ko ḳhabar is tarah ḳhabar lenā

nishānī le ke chaleñge vatan ko ġhurbat

kahīñ se dasht dāman zarā katar lenā

niyāz-e-husn bhī hai zindagī ke dhandoñ meñ

kisī pe marne fursat mile to mar lenā

isī jahān se miltā hai dars-e-ibrat bhī

hazār shart hai lenā na kuchh magar lenā

na mai-kashī na ibādat hamārī aadat hai

ki sāmne koī kaam aa gayā to kar lenā

vafā ḳharāb hai raftār-e-bahr-e-hastī

abhī to Duub phir kabhī ubhar lenā

janāb-e-shaiḳh to bār-e-gunah se ghabrā.e

hamī uThā.eñge 'nātiq' zarā idhar lenā

dayar-e-hosh ki pahle junun KHabar lena

uDa ke dhul na miTTi KHarab kar lena

jafa bhi ho to wo tum jaano aur hum jaanen

na ho kisi ko KHabar is tarah KHabar lena

nishani le ke chalenge watan ko ghurbat ki

kahin se dasht ka daman zara katar lena

niyaz-e-husn bhi hai zindagi ke dhandon mein

kisi pe marne ki fursat mile to mar lena

isi jahan se milta hai dars-e-ibrat bhi

hazar shart hai lena na kuchh magar lena

na mai-kashi na ibaadat hamari aadat hai

ki samne koi kaam aa gaya to kar lena

wafa KHarab hai raftar-e-bahr-e-hasti ki

abhi to Dub hi ja phir kabhi ubhar lena

janab-e-shaiKH to bar-e-gunah se ghabrae

hami uThaenge 'natiq' zara idhar lena

Source :
  • Deewan-e-Natiq
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now