Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhte jao

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    kisī Dhal ga.ī kaisī javānī dekhte jaao

    jo thiiñ begam vo haiñ bachchoñ naanī dekhte jaao

    Tañgī hai jo mire hanger-numā kandhoñ pe mailī

    mirī shādī hai ye shervānī dekhte jaao

    dikhā ke dasveñ nau-maulūd ko mujh se vo ye bolīñ

    mohabbat hai ye taaza nishānī dekhte jaao

    kiyā begam ne nāfiz ghar meñ dastūr-e-zabāñ-bandī

    mire ghar aao merī be-zabānī dekhte jaao

    maiñ pachpan huuñ vo pañdrah baras se tiis ke haiñ

    javānī un merī nā-tavānī dekhte jaao

    khaḌe haiñ sāmne ā.īne ke aur muskurāte haiñ

    javānī ho ga.ī kaisī divānī dekhte jaao

    bujhā saktā na thā jo tishnagī sahrā vo bādal

    hayā se ho gayā hai paanī paanī dekhte jaao

    bahut majbūr hotā hai to insāñ ḳhuun piitā hai

    garāñ hai kis qadar piine paanī dekhte jaao

    hamārā ḳhuun ik-na-ik din kar rahegā rañg

    tumheñ mahñgī paḌegī zindagānī dekhte jaao

    lahū par be-gunāhoñ ke rakhī hoñ jis buniyādeñ

    nahīñ chalne aisī hukmarānī dekhte jaao

    hayā aur sharm uThtī rahī hai is zamāne se

    na jaane kab mire āñkhoñ paanī dekhte jaao

    javānī 'ḳhvāh-maḳhvāh' ke dil kuchh to gul khilā.egī

    hasīnoñ se chalī hai chheḌ-ḳhāni dekhte jaao

    kisi ki Dhal gai kaisi jawani dekhte jao

    jo thin begam wo hain bachchon ki nani dekhte jao

    Tangi hai jo mere hanger-numa kandhon pe maili si

    meri shadi ki hai ye sherwani dekhte jao

    dikha ke daswen nau-maulud ko mujh se wo ye bolin

    mohabbat ki hai ye taza nishani dekhte jao

    kiya begam ne nafiz ghar mein dastur-e-zaban-bandi

    mere ghar aao meri be-zabani dekhte jao

    main pachpan ka hun wo pandrah baras se tis ke hi hain

    jawani un ki meri na-tawani dekhte jao

    khaDe hain samne aaine ke aur muskuraate hain

    jawani ho gai kaisi diwani dekhte jao

    bujha sakta na tha jo tishnagi sahra ki wo baadal

    haya se ho gaya hai pani pani dekhte jao

    bahut majbur hota hai to insan KHun pita hai

    garan hai kis qadar pine ka pani dekhte jao

    hamara KHun ik-na-ik din la kar rahega rang

    tumhein mahngi paDegi zindagani dekhte jao

    lahu par be-gunahon ke rakhi hon jis ki buniyaaden

    nahin chalne ki aisi hukmarani dekhte jao

    haya aur sharm uThti ja rahi hai is zamane se

    na jaane kab mere aankhon ka pani dekhte jao

    jawani 'KHwah-maKHwah' ke dil ki kuchh to gul khilaegi

    hasinon se chali hai chheD-KHani dekhte jao

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now