dete hain jam-e-shahadat mujhe malum na tha
dete haiñ jām-e-shahādat mujhe mā'lūm na thā
hai ye ā.īn-e-mohabbat mujhe mā'lūm na thā
matlab-e-chashm-e-muravvat mujhe mā'lūm na thā
tujh ko mujh se thī shikāyat mujhe mā'lūm na thā
chashm-e-ḳhāmosh kī bābat mujhe mā'lūm na thā
ye bhī hai harf-o-hikāyat mujhe mā'lūm na thā
'ishq bas meñ hai mashiyyat ke aqīda thā mirā
us ke bas meñ hai mashiyyat mujhe mā'lūm na thā
haft-ḳhvāñ jis ne kiye tai sar-e-rāh-e-taslīm
TuuT jaatī hai vo himmat mujhe mā'lūm na thā
aaj har qatra-e-mai ban gayā ik chingārī
thī ye saaqī kī sharārat mujhe mā'lūm na thā
nigah-e-mast ne talvār uThā lī sar-e-bazm
yuuñ badal jaatī hai niyyat mujhe mā'lūm na thā
ġham-e-hastī se jo bezār rahā maiñ ik 'umr
tujh se bhī thī use nisbat mujhe mā'lūm na thā
'ishq bhī ahl-e-tarīqat meñ hai aisā thā ḳhayāl
'ishq hai pīr-e-tarīqat mujhe mā'lūm na thā
pūchh mat sharh-e-karam-hā-e-azīzāñ hamdam
un meñ itnī thī sharāfat mujhe mā'lūm na thā
jab se dekhā hai tujhe mujh se hai merī an-ban
husn kā rang-e-siyāsat mujhe mā'lūm na thā
shakl insān kī ho chaal bhī insān kī ho
yuuñ bhī aatī hai qayāmat mujhe mā'lūm na thā
sar-e-māmūra-e-ālam ye dil-e-ḳhāna-ḳharāb
miT gayā terī badaulat mujhe mā'lūm na thā
parda-e-arz-e-vafā meñ bhī rahā huuñ kartā
tujh se maiñ apnī hī ġhībat mujhe mā'lūm na thā
naqd-e-jāñ kyā hai zamāne meñ mohabbat hamdam
nahīñ miltī kisī qīmat mujhe mā'lūm na thā
ho gayā aaj rafīqoñ se gale mil ke judā
apnā ḳhud ishq-e-sadāqat mujhe mā'lūm na thā
dard dil kyā hai khulā aaj tire laḌne par
tujh se itnī thī mohabbat mujhe mā'lūm na thā
dam nikal jaa.e magar dil na lagā.e koī
'ishq kī ye thī vasiyyat mujhe mā'lūm na thā
husn vāloñ ko bahut sahl samajh rakkhā thā
tujh pe aa.egī tabī'at mujhe mā'lūm na thā
kitnī ḳhallāq hai ye nīstī-e-ishq 'firāq'
us se hastī hai 'ibārat mujhe mā'lūm na thā
dete hain jam-e-shahadat mujhe ma'lum na tha
hai ye aain-e-mohabbat mujhe ma'lum na tha
matlab-e-chashm-e-murawwat mujhe ma'lum na tha
tujh ko mujh se thi shikayat mujhe ma'lum na tha
chashm-e-KHamosh ki babat mujhe ma'lum na tha
ye bhi hai harf-o-hikayat mujhe ma'lum na tha
'ishq bas mein hai mashiyyat ke aqida tha mera
us ke bas mein hai mashiyyat mujhe ma'lum na tha
haft-KHwan jis ne kiye tai sar-e-rah-e-taslim
TuT jati hai wo himmat mujhe ma'lum na tha
aaj har qatra-e-mai ban gaya ek chingari
thi ye saqi ki shararat mujhe ma'lum na tha
nigah-e-mast ne talwar uTha li sar-e-bazm
yun badal jati hai niyyat mujhe ma'lum na tha
gham-e-hasti se jo bezar raha main ek 'umr
tujh se bhi thi use nisbat mujhe ma'lum na tha
'ishq bhi ahl-e-tariqat mein hai aisa tha KHayal
'ishq hai pir-e-tariqat mujhe ma'lum na tha
puchh mat sharh-e-karam-ha-e-azizan hamdam
un mein itni thi sharafat mujhe ma'lum na tha
jab se dekha hai tujhe mujh se hai meri an-ban
husn ka rang-e-siyasat mujhe ma'lum na tha
shakl insan ki ho chaal bhi insan ki ho
yun bhi aati hai qayamat mujhe ma'lum na tha
sar-e-mamura-e-alam ye dil-e-KHana-KHarab
miT gaya teri badaulat mujhe ma'lum na tha
parda-e-arz-e-wafa mein bhi raha hun karta
tujh se main apni hi ghibat mujhe ma'lum na tha
naqd-e-jaan kya hai zamane mein mohabbat hamdam
nahin milti kisi qimat mujhe ma'lum na tha
ho gaya aaj rafiqon se gale mil ke juda
apna KHud ishq-e-sadaqat mujhe ma'lum na tha
dard dil kya hai khula aaj tere laDne par
tujh se itni thi mohabbat mujhe ma'lum na tha
dam nikal jae magar dil na lagae koi
'ishq ki ye thi wasiyyat mujhe ma'lum na tha
husn walon ko bahut sahl samajh rakkha tha
tujh pe aaegi tabi'at mujhe ma'lum na tha
kitni KHallaq hai ye nisti-e-ishq 'firaq'
us se hasti hai 'ibarat mujhe ma'lum na tha
- Book : Gul-e-Naghma (Pg. 20)
- Author : Firaq Gorakhpuri
- Publication : Idarah idarah ilm-o-adab, Delhi (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.