Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhum thi apni parsai ki

Altaf Hussain Hali

dhum thi apni parsai ki

Altaf Hussain Hali

dhuum thī apnī pārsā.ī

bhī aur kis se āshnā.ī

kyuuñ baḌhāte ho iḳhtilāt bahut

ham ko tāqat nahīñ judā.ī

muñh kahāñ tak chhupāoge ham se

tum ko aadat hai ḳhud-numā.ī

laag meñ haiñ lagāo bāteñ

sulh meñ chheḌ hai laḌā.ī

milte ġhairoñ se ho milo lekin

ham se bāteñ karo safā.ī

dil rahā pā-e-band-e-ulfat-e-dām

thī abas aarzū rihā.ī

dil bhī pahlū meñ ho to yaañ kis se

rakhiye ummīd dilrubā.ī

shahr o dariyā se baaġh o sahrā se

nahīñ aatī āshnā.ī

na milā koī ġhārat-e-īmāñ

rah ga.ī sharm pārsā.ī

baḳht-e-ham-dāstāni-e-shaidā

ne āḳhir ko nā-rasā.ī

sohbat-e-gāh-gāhi-e-rashkī

ne bhī ham se bevafā.ī

maut tarah jis se Darte the

saa.at aa pahuñchī us judā.ī

zinda phirne hai havas 'hālī'

intihā hai ye be-hayā.ī

dhum thi apni parsai ki

ki bhi aur kis se aashnai ki

kyun baDhate ho iKHtilat bahut

hum ko taqat nahin judai ki

munh kahan tak chhupaoge hum se

tum ko aadat hai KHud-numai ki

lag mein hain lagao ki baaten

sulh mein chheD hai laDai ki

milte ghairon se ho milo lekin

hum se baaten karo safai ki

dil raha pa-e-band-e-ulfat-e-dam

thi abas aarzu rihai ki

dil bhi pahlu mein ho to yan kis se

rakhiye ummid dilrubai ki

shahr o dariya se bagh o sahra se

bu nahin aati aashnai ki

na mila koi ghaarat-e-iman

rah gai sharm parsai ki

baKHt-e-ham-dastani-e-shaida

tu ne aaKHir ko na-rasai ki

sohbat-e-gah-gahi-e-rashki

tu ne bhi hum se bewafai ki

maut ki tarah jis se Darte the

saat aa pahunchi us judai ki

zinda phirne ki hai hawas 'haali'

intiha hai ye be-hayai ki

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now