Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup mein saya bane tanha khaDe hote hain

Azhar Faragh

dhup mein saya bane tanha khaDe hote hain

Azhar Faragh

MORE BYAzhar Faragh

    dhuup meñ saayā bane tanhā khaḌe hote haiñ

    baḌe logoñ ke ḳhasāre bhī baḌe hote haiñ

    ek vaqt meñ pyāse bhī haiñ sairāb bhī haiñ

    ham jo sahrāoñ miTTī ke ghaḌe hote haiñ

    aañkh khulte jabīñ chūmne aa jaate haiñ

    ham agar ḳhvāb meñ bhī tum se laḌe hote haiñ

    ye jo rahte haiñ bahut mauj meñ shab bhar ham log

    sub.h hote kināre pe paḌe hote haiñ

    hijr dīvār āzār to hai lekin

    is ke uupar bhī ka.ī kāñch jaḌe hote haiñ

    dhup mein saya bane tanha khaDe hote hain

    baDe logon ke KHasare bhi baDe hote hain

    ek hi waqt mein pyase bhi hain sairab bhi hain

    hum jo sahraon ki miTTi ke ghaDe hote hain

    aankh khulte hi jabin chumne aa jate hain

    hum agar KHwab mein bhi tum se laDe hote hain

    ye jo rahte hain bahut mauj mein shab bhar hum log

    subh hote hi kinare pe paDe hote hain

    hijr diwar ka aazar to hai hi lekin

    is ke upar bhi kai kanch jaDe hote hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now