dil husn ko dan de raha hun
dil husn ko daan de rahā huuñ
gāhak ko dukān de rahā huuñ
shāyad koī banda-e-ḳhudā aa.e
sahrā meñ azaan de rahā huuñ
har kohna yaqīñ ko az-sar-e-nau
ik taaza gumān de rahā huuñ
gūñgī hai azal se jo haqīqat
maiñ us ko zabān de rahā huuñ
maiñ ġham ko basā rahā huuñ dil meñ
be-ghar ko makān de rahā huuñ
be-jāda-o-rāh hai jo manzil
maiñ us kā nishān de rahā huuñ
jo fasl abhī kaTī nahīñ hai
maiñ us kā lagān de rahā huuñ
hāsil kā hisāb ho rahegā
filhāl to jaan de rahā huuñ
rakkhūñ jo lihāz maslahat kā
kyā koī bayān de rahā huuñ
dil husn ko dan de raha hun
gahak ko dukan de raha hun
shayad koi banda-e-KHuda aae
sahra mein azan de raha hun
har kohna yaqin ko az-sar-e-nau
ek taza guman de raha hun
gungi hai azal se jo haqiqat
main us ko zaban de raha hun
main gham ko basa raha hun dil mein
be-ghar ko makan de raha hun
be-jada-o-rah hai jo manzil
main us ka nishan de raha hun
jo fasl abhi kaTi nahin hai
main us ka lagan de raha hun
hasil ka hisab ho rahega
filhaal to jaan de raha hun
rakkhun jo lihaz maslahat ka
kya koi bayan de raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.