dil mein rakkhe hue aankhon mein basae hue shaKHs
dil meñ rakkhe hue āñkhoñ meñ basā.e hue shaḳhs
paas se dekh mujhe duur se aa.e hue shaḳhs
jāntā huuñ ye mulāqāt zarā der kī hai
taptī rāhoñ meñ ḳhunuk chhāñv khilā.e hue shaḳhs
tere lab par tire ruḳhsār kī lau paḌtī hai
tāb-e-ḳhurshīd se mahtāb jalā.e hue shaḳhs
ye to duniyā bhī nahīñ hai ki kinārā kar le
tū kahāñ jā.egā ai dil ke satā.e hue shaḳhs
dhuup ranjish kī tarah phail rahī hai mujh meñ
kyā kahūñ tujh se mire saa.e meñ aa.e hue shaḳhs
munhadim hote hue vaqt se pūchho to 'sa.ūd'
kyā hue vo tire hāthoñ ke banā.e hue shaḳhs
dil mein rakkhe hue aankhon mein basae hue shaKHs
pas se dekh mujhe dur se aae hue shaKHs
jaanta hun ye mulaqat zara der ki hai
tapti rahon mein KHunuk chhanw khilae hue shaKHs
tere lab par tere ruKHsar ki lau paDti hai
tab-e-KHurshid se mahtab jalae hue shaKHs
ye to duniya bhi nahin hai ki kinara kar le
tu kahan jaega ai dil ke satae hue shaKHs
dhup ranjish ki tarah phail rahi hai mujh mein
kya kahun tujh se mere sae mein aae hue shaKHs
munhadim hote hue waqt se puchho to 'saud'
kya hue wo tere hathon ke banae hue shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.