Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil pe jab dard ki uftad paDi hoti hai

Ahmad Rahi

dil pe jab dard ki uftad paDi hoti hai

Ahmad Rahi

dil pe jab dard uftād paḌī hotī hai

dosto vo to qayāmat ghaḌī hotī hai

jis taraf jaa.eñ jahāñ jaa.eñ bharī duniyā meñ

rāsta roke tirī yaad khaḌī hotī hai

jis ne mar mar ke guzārī ho ye us se pūchho

hijr raat bhalā kitnī kaḌī hotī hai

hañste hoñToñ se bhī jhaḌte haiñ fasāne ġham ke

ḳhushk āñkhoñ meñ bhī sāvan jhaḌī hotī hai

jab koī shaḳhs kahīñ zikr-e-vafā kartā hai

dil ko ai dosto taklīf baḌī hotī hai

is tarah baiThe haiñ vo aaj mirī mahfil meñ

jis tarah shīshe meñ tasvīr jaḌī hotī hai

dil pe jab dard ki uftad paDi hoti hai

dosto wo to qayamat ki ghaDi hoti hai

jis taraf jaen jahan jaen bhari duniya mein

rasta roke teri yaad khaDi hoti hai

jis ne mar mar ke guzari ho ye us se puchho

hijr ki raat bhala kitni kaDi hoti hai

hanste honTon se bhi jhaDte hain fasane gham ke

KHushk aankhon mein bhi sawan ki jhaDi hoti hai

jab koi shaKHs kahin zikr-e-wafa karta hai

dil ko ai dosto taklif baDi hoti hai

is tarah baiThe hain wo aaj meri mahfil mein

jis tarah shishe mein taswir jaDi hoti hai

RECITATIONS

Fahad Husain

Fahad Husain,

00:00/00:00
Fahad Husain

dil pe jab dard ki uftad paDi hoti hai Fahad Husain

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now