dil yar ki gali mein kar aaram rah gaya
dil yaar kī galī meñ kar ārām rah gayā
paayā jahāñ faqīr ne bisrām rah gayā
kis kis ne us ke ishq meñ maarā na dam vale
sab chal base magar vo dil-ārām rah gayā
jis kaam ko jahāñ meñ tū aayā thā ai 'nazīr'
ḳhāna-ḳharāb tujh se vahī kaam rah gayā
dil yar ki gali mein kar aaram rah gaya
paya jahan faqir ne bisram rah gaya
kis kis ne us ke ishq mein mara na dam wale
sab chal base magar wo dil-aram rah gaya
jis kaam ko jahan mein tu aaya tha ai 'nazir'
KHana-KHarab tujh se wahi kaam rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.