dilli hui hai viran sune khanDar paDe hain
dilli hui hai viran sune khanDar paDe hain
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
dillī huī hai vīrāñ suune khañDar paḌe haiñ
vīrān haiñ mohalle sunsān ghar paḌe haiñ
jab dekhtā huuñ un ko tab tā-kamar paḌe haiñ
ye baal mere jī ke pīchhe magar paḌe haiñ
izzat ye pyādgī kī kam hai ki ghoḌe vaale
ghoḌe se dekhte hī mujh ko utar paḌe haiñ
dekhā to is chaman meñ bād-e-ḳhizāñ ke hāthoñ
ukhḌe hue zamīñ se kyā kyā shajar paḌe haiñ
qariyāt-e-hind kā ab ye rañg hai ki kosoñ
jaave koī jidhar ko ujḌe nagar paḌe haiñ
royā hai is chaman meñ kaun aa ke ai sabā jo
har naḳhl-e-gul ke nīche laḳht-e-jigar paḌe haiñ
bigḌā kiye haiñ ham bhī us nāznīñ se har dam
kaam apne rafta rafta yūīñ sañvar paḌe haiñ
haiñ jaan o dil ke ḳhvāhāñ kyā sar ke baal us ke
jo kuchh idhar paḌe haiñ aur kuchh udhar paḌe haiñ
maqtal meñ ye tamāshā us ke nayā meñ dekhā
īdhar ko dhaḌ paḌe haiñ ūdhar ko sar paḌe haiñ
bulbul kā bāġhbāñ se kyā ab nishān pūchhūñ
bairūñ dar-e-chaman ke yak musht-e-par paḌe haiñ
shabnam gulāb-pāshī ġhunche kī jald uThā lā
gul bistar-e-ġhashī par sab be-ḳhabar paḌe haiñ
ai 'mus.hafī' maiñ un ko ab chhoḌtā huuñ koī
vo ba.ad muddatoñ ke merī nazar paḌe haiñ
dilli hui hai viran sune khanDar paDe hain
viran hain mohalle sunsan ghar paDe hain
jab dekhta hun un ko tab ta-kamar paDe hain
ye baal mere ji ke pichhe magar paDe hain
izzat ye pyaadgi ki kam hai ki ghoDe wale
ghoDe se dekhte hi mujh ko utar paDe hain
dekha to is chaman mein baad-e-KHizan ke hathon
ukhDe hue zamin se kya kya shajar paDe hain
qariyat-e-hind ka ab ye rang hai ki koson
jawe koi jidhar ko ujDe nagar paDe hain
roya hai is chaman mein kaun aa ke ai saba jo
har naKHl-e-gul ke niche laKHt-e-jigar paDe hain
bigDa kiye hain hum bhi us naznin se har dam
kaam apne rafta rafta yuin sanwar paDe hain
hain jaan o dil ke KHwahan kya sar ke baal us ke
jo kuchh idhar paDe hain aur kuchh udhar paDe hain
maqtal mein ye tamasha us ke naya mein dekha
idhar ko dhaD paDe hain udhar ko sar paDe hain
bulbul ka baghban se kya ab nishan puchhun
bairun dar-e-chaman ke yak musht-e-par paDe hain
shabnam gulab-pashi ghunche ki jald uTha la
gul bistar-e-ghashi par sab be-KHabar paDe hain
ai 'mushafi' main un ko ab chhoDta hun koi
wo baad muddaton ke meri nazar paDe hain
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 205)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.