Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ek lamha guzara ja raha hai hosh mein

Kaif Moradaabadi

ek ek lamha guzara ja raha hai hosh mein

Kaif Moradaabadi

MORE BYKaif Moradaabadi

    ek ik lamha guzārā rahā hai hosh meñ

    ai zahe-qismat jo haiñ tūfān āġhosh meñ

    ab ye aalam hai hamārā bandagī ke josh meñ

    ek sajda be-ḳhudī meñ ek sajda hosh meñ

    maslahat kuchh bhī na kahne de to is kyā ilaaj

    jaane kitnī dāstāneñ haiñ lab-e-ḳhāmosh meñ

    uf ye sailāb-e-havādis haa.e ye tūfān-e-ġham

    yuuñ bhī laatā hogā dīvāne ko koī hosh meñ

    Dar hai ahl-e-kārvāñ tezī-e-raftār se

    apnī manzil bhī na kho baiTheñ kisī din josh meñ

    sāmne mahshar ho kaunain chāhe kuchh bhī ho

    un dīvāna to ab aatā nahīñ hai hosh meñ

    'kaif' se pūchhe koī tere karam vus.ateñ

    us ne dekhā hai do-ālam ko tirī āġhosh meñ

    ek ek lamha guzara ja raha hai hosh mein

    ai zahe-qismat jo hain tufan ki aaghosh mein

    ab ye aalam hai hamara bandagi ke josh mein

    ek sajda be-KHudi mein ek sajda hosh mein

    maslahat kuchh bhi na kahne de to is ka kya ilaj

    jaane kitni dastanen hain lab-e-KHamosh mein

    uf ye sailab-e-hawadis hae ye tufan-e-gham

    yun bhi lata hoga diwane ko koi hosh mein

    Dar hai ahl-e-karwan ki tezi-e-raftar se

    apni manzil bhi na kho baiThen kisi din josh mein

    samne mahshar ho ya kaunain chahe kuchh bhi ho

    un ka diwana to ab aata nahin hai hosh mein

    'kaif' se puchhe koi tere karam ki wusaten

    us ne dekha hai do-alam ko teri aaghosh mein

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now