diyon se aag jo lagti rahi makanon ko
diyoñ se aag jo lagtī rahī makānoñ ko
mah o nujūm jalā deñ na āsmānoñ ko
mire qabīle meñ kyā shahr bhar se mil dekho
koī bhī tiir nahīñ detā be-kamānoñ ko
shikastagī ne girā diiñ saroñ pe dīvāreñ
muḳhāsimat thī makīnoñ se kyā makānoñ ko
ye sochtā huuñ vo kyā husn-kār tesha thā
jo aaise naqsh atā kar gayā chaTānoñ ko
yahī karegī kisī samt kā ta.ayyun bhī
isī havā ne to kholā hai bādbānoñ ko
jahāñ zideñ kiyā kartā thā bachpanā merā
kahāñ se lā.ūñ khilaunoñ kī un dukānoñ ko
diyon se aag jo lagti rahi makanon ko
mah o nujum jala den na aasmanon ko
mere qabile mein kya shahr bhar se mil dekho
koi bhi tir nahin deta be-kamanon ko
shikastagi ne gira din saron pe diwaren
muKHasimat thi makinon se kya makanon ko
ye sochta hun wo kya husn-kar tesha tha
jo aaise naqsh ata kar gaya chaTanon ko
yahi karegi kisi samt ka tayyun bhi
isi hawa ne to khola hai baadbanon ko
jahan ziden kiya karta tha bachpana mera
kahan se laun khilaunon ki un dukanon ko
- Book : jhunka na-e-mausam kaa (Pg. 46)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.