do ghaDi baiThe the zulf-e-ambarin ki chhanw mein
do ghaḌī baiThe the zulf-e-ambarīñ kī chhāñv meñ
chubh gayā kāñTā dil-e-hasrat-zada ke paañv meñ
kam nahīñ haiñ jab ki shahroñ meñ bhī kuchh vīrāniyāñ
kis tavaqqo' par koī jā.egā ab sahrāoñ meñ
kachchī kaliyāñ pakkī fasleñ sar chhupā.eñgī kahāñ
aag shahroñ kī lapak kar aa rahī hai gaañv meñ
zaḳhm-e-nazzārā haiñ jismoñ kī barahna Tahniyāñ
aise patjhaḌ meñ khileñge phuul kyā āshāoñ meñ
kyā kahūñ tūl-e-shab-e-ġham pal meñ sadiyāñ Dhal ga.iiñ
vaqt yuuñ guzrā ki jaise aable hoñ paañv meñ
zindagī meñ aisī kuchh tuġhyāniyāñ aatī rahīñ
bah ga.iiñ haiñ 'umr bhar kī nekiyāñ dariyāoñ meñ
jalte mausam meñ koī fāriġh nazar aatā nahīñ
Dūbtā jaatā hai har ik peḌ apnī chhāñv meñ
do ghaDi baiThe the zulf-e-ambarin ki chhanw mein
chubh gaya kanTa dil-e-hasrat-zada ke panw mein
kam nahin hain jab ki shahron mein bhi kuchh viraniyan
kis tawaqqo' par koi jaega ab sahraon mein
kachchi kaliyan pakki faslen sar chhupaengi kahan
aag shahron ki lapak kar aa rahi hai ganw mein
zaKHm-e-nazzara hain jismon ki barahna Tahniyan
aise patjhaD mein khilenge phul kya aashaon mein
kya kahun tul-e-shab-e-gham pal mein sadiyan Dhal gain
waqt yun guzra ki jaise aable hon panw mein
zindagi mein aisi kuchh tughyaniyan aati rahin
bah gain hain 'umr bhar ki nekiyan dariyaon mein
jalte mausam mein koi farigh nazar aata nahin
Dubta jata hai har ek peD apni chhanw mein
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 399)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.