dosti ka fareb hi khaen
dostī kā fareb hī khā.eñ
aao kāġhaz kī naav tairā.eñ
ham agar rah-ravī kā azm kareñ
manzileñ khiñch ke ḳhud chalī aa.eñ
ham ko āmāda-e-safar na karo
rāste pur-ḳhatar na ho jaa.eñ
ham-safar rah ga.e bahut pīchhe
aao kuchh der ko Thahar jaa.eñ
mutriba aisā giit chheḌ ki ham
zindagī ke qarīb ho jaa.eñ
in bahāroñ kī aabrū rakh lo
muskurāo ki phuul khil jaa.eñ
gesū-e-zīst ke ye uljhāo
aao mil kar 'shakeb' suljhā.eñ
dosti ka fareb hi khaen
aao kaghaz ki naw tairaen
hum agar rah-rawi ka azm karen
manzilen khinch ke KHud chali aaen
hum ko aamada-e-safar na karo
raste pur-KHatar na ho jaen
ham-safar rah gae bahut pichhe
aao kuchh der ko Thahar jaen
mutriba aisa git chheD ki hum
zindagi ke qarib ho jaen
in bahaaron ki aabru rakh lo
muskurao ki phul khil jaen
gesu-e-zist ke ye uljhao
aao mil kar 'shakeb' suljhaen
- Book : Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 405)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.