dar dar phirte logon ko dar de maula
dar dar phirte logoñ ko dar de maulā
banjāroñ ko bhī apnā ghar de maulā
jo auroñ kī ḳhushiyoñ meñ ḳhush hote haiñ
un kā bhī ghar ḳhushiyoñ se bhar de maulā
zulm-o-sitam ho ḳhatm na ho dahshat-gardī
amn-o-amāñ kī yuuñ bārish kar de maulā
bhūke pyāse muflis aur yatīm haiñ jo
nazar-e-ināyat un par bhī kar de maulā
jo karte haiñ ḳhūn-ḳharāba zulm-o-sitam
un ke bhī dil meñ thoḌā Dar de maulā
dar dar phirte logon ko dar de maula
banjaron ko bhi apna ghar de maula
jo auron ki KHushiyon mein KHush hote hain
un ka bhi ghar KHushiyon se bhar de maula
zulm-o-sitam ho KHatm na ho dahshat-gardi
amn-o-aman ki yun barish kar de maula
bhuke pyase muflis aur yatim hain jo
nazar-e-inayat un par bhi kar de maula
jo karte hain KHun-KHaraba zulm-o-sitam
un ke bhi dil mein thoDa Dar de maula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.