gham diye hain to masarrat ke guhar bhi dena
ġham diye haiñ to masarrat ke guhar bhī denā
ai ḳhudā tū mujhe jiine kā hunar bhī denā
hākim-e-vaqt ye hijrat mujhe manzūr magar
dam-e-ruḳhsat mujhe sāmān-e-safar bhī denā
ai shab-o-roz ke mālik mujhe is duniyā meñ
lailatul-qadr kī mānind sahar bhī denā
sun zarā ġhaur se sun ai shajar-e-sāya-fagan
jab tire saa.e meñ pahuñchūñ to samar bhī denā
lafz nikleñ jo zabāñ se to diloñ tak pahuñcheñ
merī taqrīr meñ kuchh aisā asar bhī denā
tere altāf-o-karam kī hai bahar-sū shohrat
māl-o-zar degā hī to la.al-o-gohar bhī denā
tū jo shamshīr-ba-kaf ho to maiñ sar pesh karūñ
jo haiñ dil vaale unheñ aatā hai sar bhī denā
baḳhshne vaale zamāne ko jamāl-e-har-rañg
jo tujhe dekh sake aisī nazar bhī denā
le chalā maiñ tirī jannat se bayābāñ kī taraf
sar chhupāne ko vahāñ tū mujhe ghar bhī denā
harf aa jaa.e na tujh par kahīñ kam-zarfī kā
dāman-e-'shams' ko tū dīda-e-tar bhī denā
gham diye hain to masarrat ke guhar bhi dena
ai KHuda tu mujhe jine ka hunar bhi dena
hakim-e-waqt ye hijrat mujhe manzur magar
dam-e-ruKHsat mujhe saman-e-safar bhi dena
ai shab-o-roz ke malik mujhe is duniya mein
lailatul-qadr ki manind sahar bhi dena
sun zara ghaur se sun ai shajar-e-saya-fagan
jab tere sae mein pahunchun to samar bhi dena
lafz niklen jo zaban se to dilon tak pahunchen
meri taqrir mein kuchh aisa asar bhi dena
tere altaf-o-karam ki hai bahar-su shohrat
mal-o-zar dega hi to lal-o-gohar bhi dena
tu jo shamshir-ba-kaf ho to main sar pesh karun
jo hain dil wale unhen aata hai sar bhi dena
baKHshne wale zamane ko jamal-e-har-rang
jo tujhe dekh sake aisi nazar bhi dena
le chala main teri jannat se bayaban ki taraf
sar chhupane ko wahan tu mujhe ghar bhi dena
harf aa jae na tujh par kahin kam-zarfi ka
daman-e-'shams' ko tu dida-e-tar bhi dena
- Book : Gubar-e-shams (Pg. 86)
- Author : Shams Ramzi
- Publication : Urdu Tahzeeb, Delhi (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.