garaj-baras pyasi dharti par phir pani de maula
garaj-baras pyāsī dhartī par phir paanī de maulā
chiḌiyoñ ko daane bachchoñ ko guḌ-dhānī de maulā
do aur do kā joḌ hamesha chaar kahāñ hotā hai
soch samajh vāloñ ko thoḌī nādānī de maulā
phir raushan kar zahr kā pyāla chamkā na.ī salībeñ
jhūToñ kī duniyā meñ sach ko tābānī de maulā
phir mūrat se bāhar aa kar chāroñ or bikhar jā
phir mandir ko koī 'mīrā' dīvānī de maulā
tere hote koī kisī kī jaan kā dushman kyuuñ ho
jiine vāloñ ko marne kī āsānī de maulā
garaj-baras pyasi dharti par phir pani de maula
chiDiyon ko dane bachchon ko guD-dhani de maula
do aur do ka joD hamesha chaar kahan hota hai
soch samajh walon ko thoDi nadani de maula
phir raushan kar zahr ka pyala chamka nai saliben
jhuTon ki duniya mein sach ko tabani de maula
phir murat se bahar aa kar chaaron or bikhar ja
phir mandir ko koi 'mira' diwani de maula
tere hote koi kisi ki jaan ka dushman kyun ho
jine walon ko marne ki aasani de maula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.