nadi ka aab diya hai to kuchh bahaw bhi de
nadī kā aab diyā hai to kuchh bahāv bhī de
mirī ġhazal ko nayā-pan bhī de rachāv bhī de
chalā ke sard havā mujh ko munjamid bhī kar
pighal ke phailnā chāhūñ to ik alaav bhī de
ki jis ke dard kā ehsās tere jaisā ho
kabhī kabhī mirī fitrat ko aisā ghaav bhī de
azāb-e-sail-e-musalsal jo de rahā hai mujhe
to sat.h-e-āb pe chalne ko ek naav bhī de
musāfirat ke ka.ī marhale tamām hue
ki merī ḳhāna-badoshī ko ab paḌāv bhī de
nadi ka aab diya hai to kuchh bahaw bhi de
meri ghazal ko naya-pan bhi de rachaw bhi de
chala ke sard hawa mujh ko munjamid bhi kar
pighal ke phailna chahun to ek alaw bhi de
ki jis ke dard ka ehsas tere jaisa ho
kabhi kabhi meri fitrat ko aisa ghaw bhi de
azab-e-sail-e-musalsal jo de raha hai mujhe
to sath-e-ab pe chalne ko ek naw bhi de
musafirat ke kai marhale tamam hue
ki meri KHana-badoshi ko ab paDaw bhi de
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 45)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.