dulhan bhi agar ban ke aaegi raat
dulhan bhī agar ban ke aa.egī raat
hameñ be-tumhāre na bhā.egī raat
hameñ hijr meñ ḳhuuñ rulā.egī raat
hamāre lahū meñ nahā.egī raat
bahut ḳhvāb-e-ġhaflat meñ din chaḌh gayā
uTho sone vaalo phir aa.egī raat
ham us se ziyāda siyah-baḳht haiñ
hameñ tīrgī kyā dikhā.egī raat
na Taale Talegā ye roz-e-firāq
qasam aaj aane ke khā.egī raat
'saḳhī' aḌ ke baiThī hai ghar par mire
bas ab jaan hī le ke jā.egī raat
dulhan bhi agar ban ke aaegi raat
hamein be-tumhaare na bhaegi raat
hamein hijr mein KHun rulaegi raat
hamare lahu mein nahaegi raat
bahut KHwab-e-ghaflat mein din chaDh gaya
uTho sone walo phir aaegi raat
hum us se ziyaada siyah-baKHt hain
hamein tirgi kya dikhaegi raat
na Tale Talega ye roz-e-firaq
qasam aaj aane ke khaegi raat
'saKHi' aD ke baiThi hai ghar par mere
bas ab jaan hi le ke jaegi raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.