kitne chehre badal rahi duniya
kitne chehre badal rahī duniyā
ḳhuub shātir hai matlabī duniyā
tum ko dhokā nahīñ milā matlab
tum ko dhoke meñ rakh rahī duniyā
ek āshiq udaas hai phir se
ya.anī phir jiit hī ga.ī duniyā
tū jise apnī duniyā kahtā hai
vo basā legī ik na.ī duniyā
saarī duniyā meñ tū hī merā hai
tere hone se hai mirī duniyā
kitne chehre badal rahi duniya
KHub shatir hai matlabi duniya
tum ko dhoka nahin mila matlab
tum ko dhoke mein rakh rahi duniya
ek aashiq udas hai phir se
yani phir jit hi gai duniya
tu jise apni duniya kahta hai
wo basa legi ek nai duniya
sari duniya mein tu hi mera hai
tere hone se hai meri duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.