main is umid pe Duba ki tu bacha lega
maiñ is umiid pe Duubā ki tū bachā legā
ab is ke ba.ad mirā imtihān kyā legā
ye ek mela hai va.ada kisī se kyā legā
Dhalegā din to har ik apnā rāsta legā
maiñ bujh gayā to hamesha ko bujh hī jā.ūñgā
koī charāġh nahīñ huuñ ki phir jalā legā
kaleja chāhiye dushman se dushmanī ke liye
jo be-amal hai vo badla kisī se kyā legā
maiñ us kā ho nahīñ saktā batā na denā use
lakīreñ haath kī apnī vo sab jalā legā
hazār toḌ ke aa jā.ūñ us se rishta 'vasīm'
maiñ jāntā huuñ vo jab chāhegā bulā legā
main is umid pe Duba ki tu bacha lega
ab is ke baad mera imtihan kya lega
ye ek mela hai wada kisi se kya lega
Dhalega din to har ek apna rasta lega
main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaunga
koi charagh nahin hun ki phir jala lega
kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
jo be-amal hai wo badla kisi se kya lega
main us ka ho nahin sakta bata na dena use
lakiren hath ki apni wo sab jala lega
hazar toD ke aa jaun us se rishta 'wasim'
main jaanta hun wo jab chahega bula lega
- Book : Mera Kiya (Pg. 99)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.