Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha

Qateel Shifai

dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    duur tak chhā.e the bādal aur kahīñ saaya na thā

    is tarah barsāt mausam kabhī aayā na thā

    surḳh aahan par Tapaktī buuñd hai ab har ḳhushī

    zindagī ne yuuñ to pahle ham ko tarsāyā na thā

    kyā milā āḳhir tujhe sāyoñ ke pīchhe bhaag kar

    ai dil-e-nādāñ tujhe kyā ham ne samjhāyā na thā

    uf ye sannāTā ki aahaT tak na ho jis meñ muḳhil

    zindagī meñ is qadar ham ne sukūñ paayā na thā

    ḳhuub ro.e chhup ke ghar chār-dīvārī meñ ham

    hāl-e-dil kahne ke qābil koī ham-sāya na thā

    ho ga.e qallāsh jab se aas daulat luTī

    paas apne aur to koī bhī sarmāya na thā

    vo payambar ho ki āshiq qatl-gāh-e-shauq meñ

    taaj kāñToñ kise duniyā ne pahnāyā na thā

    ab khulā jhoñkoñ ke pīchhe chal rahī thiiñ āñdhiyāñ

    ab jo manzar hai vo pahle to nazar aayā na thā

    sirf ḳhushbū kamī thī ġhaur ke qābil 'qatīl'

    varna gulshan meñ koī bhī phuul murjhāyā na thā

    dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha

    is tarah barsat ka mausam kabhi aaya na tha

    surKH aahan par Tapakti bund hai ab har KHushi

    zindagi ne yun to pahle hum ko tarsaya na tha

    kya mila aaKHir tujhe sayon ke pichhe bhag kar

    ai dil-e-nadan tujhe kya hum ne samjhaya na tha

    uf ye sannaTa ki aahaT tak na ho jis mein muKHil

    zindagi mein is qadar hum ne sukun paya na tha

    KHub roe chhup ke ghar ki chaar-diwari mein hum

    haal-e-dil kahne ke qabil koi ham-saya na tha

    ho gae qallash jab se aas ki daulat luTi

    pas apne aur to koi bhi sarmaya na tha

    wo payambar ho ki aashiq qatl-gah-e-shauq mein

    taj kanTon ka kise duniya ne pahnaya na tha

    ab khula jhonkon ke pichhe chal rahi thin aandhiyan

    ab jo manzar hai wo pahle to nazar aaya na tha

    sirf KHushbu ki kami thi ghaur ke qabil 'qatil'

    warna gulshan mein koi bhi phul murjhaya na tha

    Source :
    • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 178)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now