Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duriyon mein qarabaton ka maza

Mohsin Asrar

duriyon mein qarabaton ka maza

Mohsin Asrar

MORE BYMohsin Asrar

    dūriyoñ meñ qarābatoñ mazā

    liije liije mohabbatoñ mazā

    kuchh mazā bārishoñ shorish

    kuchh Tapaktī huī chhatoñ mazā

    ho ga.ī tabāh ḳhud-dārī

    le liyā ri.āyatoñ mazā

    ik muhājir jaan saktā hai

    kaisā hotā hai hijratoñ mazā

    dhuup jā-e-qarār sāyoñ

    har bagūla masāfatoñ mazā

    bhuuk aur pyaas zaat lazzat

    fāqa-mastī qanā.atoñ mazā

    jaise sajde meñ qatl ho koī

    aisā hotā hai chāhatoñ mazā

    maut hai zindagī kamzorī

    jāñ-kanī apnī quvvatoñ mazā

    ishq hotā hai tab jab 'mohsin'

    muntaqil ho tabī.atoñ mazā

    duriyon mein qarabaton ka maza

    lije lije mohabbaton ka maza

    kuchh maza barishon ki shorish ka

    kuchh Tapakti hui chhaton ka maza

    ho gai na tabah KHud-dari

    le liya na riayaton ka maza

    ek muhajir hi jaan sakta hai

    kaisa hota hai hijraton ka maza

    dhup ja-e-qarar sayon ki

    har bagula masafaton ka maza

    bhuk aur pyas zat ki lazzat

    faqa-masti qanaaton ka maza

    jaise sajde mein qatl ho koi

    aisa hota hai chahaton ka maza

    maut hai zindagi ki kamzori

    jaan-kani apni quwwaton ka maza

    ishq hota hai tab hi jab 'mohsin'

    muntaqil ho tabiaton ka maza

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now