ehsas mein phul khil rahe hain
ehsās meñ phuul khil rahe haiñ
patjhaḌ ke 'ajīb silsile haiñ
kuchh itnī shadīd tīrgī hai
āñkhoñ meñ sitāre tairte haiñ
dekheñ to havā jamī huī hai
socheñ to daraḳht jhūmte haiñ
suqrāt ne zahr pī liyā thā
ham ne jiine ke dukh sahe haiñ
ham tujh se bigaḌ ke jab bhī uTThe
phir tere huzūr aa ga.e haiñ
ham 'aks haiñ ek dūsre kā
chehre ye nahīñ haiñ aa.ine haiñ
lamhoñ kā ġhubār chhā rahā hai
yādoñ ke charāġh jal rahe haiñ
sūraj ne ghane sanobaroñ meñ
jaale se shu'ā'oñ ke bune haiñ
yaksāñ haiñ firāq-o-vasl donoñ
ye marhale ek se kaḌe haiñ
pā kar bhī to niiñd uḌ ga.ī thī
kho kar bhī to rat-jage mile haiñ
jo din tirī yaad meñ kaTe the
maazī ke khañDar bane khaḌe haiñ
jab terā jamāl DhūñDte the
ab terā ḳhayāl DhūñDte haiñ
ham dil ke gudāz se haiñ majbūr
jab ḳhush bhī hue to ro.e haiñ
ham zinda haiñ ai firāq kī raat
pyārī tire baal kyuuñ khule haiñ
ehsas mein phul khil rahe hain
patjhaD ke 'ajib silsile hain
kuchh itni shadid tirgi hai
aankhon mein sitare tairte hain
dekhen to hawa jami hui hai
sochen to daraKHt jhumte hain
suqraat ne zahr pi liya tha
hum ne jine ke dukh sahe hain
hum tujh se bigaD ke jab bhi uTThe
phir tere huzur aa gae hain
hum 'aks hain ek dusre ka
chehre ye nahin hain aaine hain
lamhon ka ghubar chha raha hai
yaadon ke charagh jal rahe hain
suraj ne ghane sanobaron mein
jale se shu'a'on ke bune hain
yaksan hain firaq-o-wasl donon
ye marhale ek se kaDe hain
pa kar bhi to nind uD gai thi
kho kar bhi to rat-jage mile hain
jo din teri yaad mein kaTe the
mazi ke khanDar bane khaDe hain
jab tera jamal DhunDte the
ab tera KHayal DhunDte hain
hum dil ke gudaz se hain majbur
jab KHush bhi hue to roe hain
hum zinda hain ai firaq ki raat
pyari tere baal kyun khule hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.