Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ek gam pe pathraw hua hai mujh mein

Kavish Badri

ek ek gam pe pathraw hua hai mujh mein

Kavish Badri

MORE BYKavish Badri

    ek ik gaam pe pathrāv huā hai mujh meñ

    silsila ġham bahut duur chalā hai mujh meñ

    itnā phailā huuñ simaTnā paḌegā shāyad

    koī shiddat se mujhe DhūñD rahā hai mujh meñ

    ashk Tapke to koī raaz tahrīr milī

    aur kyā kyā nahīñ ma.alūm likhā hai mujh meñ

    gūñjtā rahtā huuñ maiñ koī sune na sune

    bhūlī-bisrī huī yādoñ sadā hai mujh meñ

    hogī zaa.il na kabhī mere nafas ḳhushbū

    ġham tirā uud mānind jalā hai mujh meñ

    tāq-e-nisyāñ pe diyā kis ne ye rakh chhoḌā hai

    ek muddat se jalā hai na bujhā hai mujh meñ

    ek manzar bhī na dekhā gayā mujh se 'kāvish'

    saare aalam ko koī dekh rahā hai mujh meñ

    ek ek gam pe pathraw hua hai mujh mein

    silsila gham ka bahut dur chala hai mujh mein

    itna phaila hun simaTna hi paDega shayad

    koi shiddat se mujhe DhunD raha hai mujh mein

    ashk Tapke to koi raaz ki tahrir mili

    aur kya kya nahin malum likha hai mujh mein

    gunjta rahta hun main koi sune ya na sune

    bhuli-bisri hui yaadon ki sada hai mujh mein

    hogi zail na kabhi mere nafas ki KHushbu

    gham tera ud ki manind jala hai mujh mein

    taq-e-nisyan pe diya kis ne ye rakh chhoDa hai

    ek muddat se jala hai na bujha hai mujh mein

    ek manzar bhi na dekha gaya mujh se 'kawish'

    sare aalam ko koi dekh raha hai mujh mein

    Source :
    • Book : saughat-pahli-kitab-magazines (Pg. 366)
    • Author : mahmood ayaaz
    • Edition : 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now