Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek naghma ek tara ek ghuncha ek jam

Saghar Siddiqui

ek naghma ek tara ek ghuncha ek jam

Saghar Siddiqui

ek naġhma ek taarā ek ġhuncha ek jaam

ai ġham-e-daurāñ ġham-e-daurāñ tujhe merā salām

zulf āvāra garebāñ chaak ghabrā.ī nazar

in dinoñ ye hai jahāñ meñ zindagānī nizām

chand taare TuuT kar dāman meñ mere aa gire

maiñ ne pūchhā thā sitāroñ se tire ġham maqām

kah rahe haiñ chand bichhḌe rahravoñ ke naqsh-e-pā

ham kareñge inqalāb-e-justujū ehtimām

paḌ ga.iiñ pairāhan-e-sub.h-e-chaman par silvaTeñ

yaad aa kar rah ga.ī hai be-ḳhudī ek shaam

terī ismat ho ki ho mere hunar chāñdnī

vaqt ke bāzār meñ har chiiz ke lagte haiñ daam

ham banā.eñge yahāñ 'sāġhar' na.ī tasvīr-e-shauq

ham taḳhayyul ke mujaddid ham tasavvur ke imaam

ek naghma ek tara ek ghuncha ek jam

ai gham-e-dauran gham-e-dauran tujhe mera salam

zulf aawara gareban chaak ghabrai nazar

in dinon ye hai jahan mein zindagani ka nizam

chand tare TuT kar daman mein mere aa gire

main ne puchha tha sitaron se tere gham ka maqam

kah rahe hain chand bichhDe rahrawon ke naqsh-e-pa

hum karenge inqalab-e-justuju ka ehtimam

paD gain pairahan-e-subh-e-chaman par silwaTen

yaad aa kar rah gai hai be-KHudi ki ek sham

teri ismat ho ki ho mere hunar ki chandni

waqt ke bazar mein har chiz ke lagte hain dam

hum banaenge yahan 'saghar' nai taswir-e-shauq

hum taKHayyul ke mujaddid hum tasawwur ke imam

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now