ek parvāz dikhā.ī dī hai
terī āvāz sunā.ī dī hai
sirf ik safha palaT kar us ne
saarī bātoñ kī safā.ī dī hai
phir vahīñ lauT ke jaanā hogā
yaar ne kaisī rihā.ī dī hai
jis kī āñkhoñ meñ kaTī thiiñ sadiyāñ
us ne sadiyoñ kī judā.ī dī hai
zindagī par bhī koī zor nahīñ
dil ne har chiiz parā.ī dī hai
aag meñ kyā kyā jalā hai shab bhar
kitnī ḳhush-rang dikhā.ī dī hai
ek parwaz dikhai di hai
teri aawaz sunai di hai
sirf ek safha palaT kar us ne
sari baaton ki safai di hai
phir wahin lauT ke jaana hoga
yar ne kaisi rihai di hai
jis ki aankhon mein kaTi thin sadiyan
us ne sadiyon ki judai di hai
zindagi par bhi koi zor nahin
dil ne har chiz parai di hai
aag mein kya kya jala hai shab bhar
kitni KHush-rang dikhai di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.