ek sadi mein bita hun
ek sadī meñ biitā huuñ
maiñ bhī kaisā lamha huuñ
bik jaatā huuñ hāthoñ-hāth
had se ziyāda sastā huuñ
band paḌā huuñ muddat se
kahne ko darvāza huuñ
merī shakl pe mat jaanā
andar andar TuuTā huuñ
mat samjhā kar mujh ko tū
yaar bahut maiñ uljhā huuñ
sab kī nazreñ mujh par haiñ
kyā laḌkī kā dupaTTa huuñ
ek sadi mein bita hun
main bhi kaisa lamha hun
bik jata hun hathon-hath
had se ziyaada sasta hun
band paDa hun muddat se
kahne ko darwaza hun
meri shakl pe mat jaana
andar andar TuTa hun
mat samjha kar mujh ko tu
yar bahut main uljha hun
sab ki nazren mujh par hain
kya laDki ka dupaTTa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.