fana ke raste phulon se bhar gae shayad
fanā ke rāste phūloñ se bhar ga.e shāyad
sitāre manzil-e-shab se guzar ga.e shāyad
na aah dil meñ na āñkhoñ meñ ashk baaqī haiñ
havās rishta-e-ġham paar kar ga.e shāyad
jo nuur bharte the zulmāt-e-shab ke sahrā meñ
vo chāñd taare falak se utar ga.e shāyad
mahakte phuul jo yādoñ meñ muskurāte the
nafas kī tez havā se bikhar ga.e shāyad
vafā kī raah meñ jo qāfile ravāñ the kahīñ
vo manziloñ kā patā hī bisar ga.e shāyad
chalo yahāñ se kahīñ aur mar raheñ māmūn
tuyūr-e-ġham bhī makāñ ḳhālī kar ga.e shāyad
fana ke raste phulon se bhar gae shayad
sitare manzil-e-shab se guzar gae shayad
na aah dil mein na aankhon mein ashk baqi hain
hawas rishta-e-gham par kar gae shayad
jo nur bharte the zulmat-e-shab ke sahra mein
wo chand tare falak se utar gae shayad
mahakte phul jo yaadon mein muskuraate the
nafas ki tez hawa se bikhar gae shayad
wafa ki rah mein jo qafile rawan the kahin
wo manzilon ka pata hi bisar gae shayad
chalo yahan se kahin aur mar rahen mamun
tuyur-e-gham bhi makan KHali kar gae shayad
- Book : Azkar (Pg. 138)
- Author : Amjad Hussain Hafiz Karnataki
- Publication : Karnataka Urdu Academy (issue:23 April,May,June-2013)
- Edition : issue:23 April,May,June-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.