fankar KHud na thi mere fan ki sharik thi
fankār ḳhud na thī mire fan kī sharīk thī
vo ruuh ke safar meñ badan kī sharīk thī
utrā thā jis pe bāb-e-hayā kā varaq varaq
bistar ke ek ek shikan kī sharīk thī
maiñ ek e'tibār se ātish-parast thā
vo saare zāviyoñ se chaman kī sharīk thī
vo nāzish-e-sitāra o tannār-e-māhtāb
gardish ke vaqt mere gahan kī sharīk thī
vo ham-jalīs-e-sāniha-e-rahmat-e-nashāt
āsā.ish-e-salīb-o-rasan kī sharīk thī
nā-qābil-e-bayān añdheroñ ke bāvajūd
merī duā-e-sub.h vatan kī sharīk thī
fankar KHud na thi mere fan ki sharik thi
wo ruh ke safar mein badan ki sharik thi
utra tha jis pe bab-e-haya ka waraq waraq
bistar ke ek ek shikan ki sharik thi
main ek e'tibar se aatish-parast tha
wo sare zawiyon se chaman ki sharik thi
wo nazish-e-sitara o tannar-e-mahtab
gardish ke waqt mere gahan ki sharik thi
wo ham-jalis-e-saniha-e-rahmat-e-nashat
aasaish-e-salib-o-rasan ki sharik thi
na-qabil-e-bayan andheron ke bawajud
meri dua-e-subh watan ki sharik thi
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 267)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.