Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain

Obaidullah Aleem

main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain

Obaidullah Aleem

MORE BYObaidullah Aleem

    maiñ ye kis ke naam likkhūñ jo alam guzar rahe haiñ

    mire shahr jal rahe haiñ mire log mar rahe haiñ

    koī ġhuncha ho ki gul ho koī shāḳh ho shajar ho

    vo havā-e-gulsitāñ hai ki sabhī bikhar rahe haiñ

    kabhī rahmateñ thiiñ nāzil isī ḳhitta-e-zamīñ par

    vahī ḳhitta-e-zamīñ hai ki 'azāb utar rahe haiñ

    vahī tā.eroñ ke jhurmuT jo havā meñ jhūlte the

    vo fazā ko dekhte haiñ to ab aah bhar rahe haiñ

    baḌī aarzū thī ham ko na.e ḳhvāb dekhne

    so ab apnī zindagī meñ na.e ḳhvāb bhar rahe haiñ

    koī aur to nahīñ hai pas-e-ḳhanjar-āzmā.ī

    hamīñ qatl ho rahe haiñ hamīñ qatl kar rahe haiñ

    main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain

    mere shahr jal rahe hain mere log mar rahe hain

    koi ghuncha ho ki gul ho koi shaKH ho shajar ho

    wo hawa-e-gulsitan hai ki sabhi bikhar rahe hain

    kabhi rahmaten thin nazil isi KHitta-e-zamin par

    wahi KHitta-e-zamin hai ki 'azab utar rahe hain

    wahi taeron ke jhurmuT jo hawa mein jhulte the

    wo faza ko dekhte hain to ab aah bhar rahe hain

    baDi aarzu thi hum ko nae KHwab dekhne ki

    so ab apni zindagi mein nae KHwab bhar rahe hain

    koi aur to nahin hai pas-e-KHanjar-azmai

    hamin qatl ho rahe hain hamin qatl kar rahe hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Obaidullah Aleem

    Obaidullah Aleem

    Obaidullah Aleem

    Obaidullah Aleem

    RECITATIONS

    Obaidullah Aleem

    Obaidullah Aleem,

    Obaidullah Aleem

    Obaidullah Aleem,

    Obaidullah Aleem

    Main ye kis ke naam likkhun jo alam guzar rahe hain Obaidullah Aleem

    Obaidullah Aleem

    main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain Obaidullah Aleem

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now