fasil-e-jism gira de makan-e-jaan se nikal
fasīl-e-jism girā de makān-e-jāñ se nikal
ye intishār-zada shahr hai yahāñ se nikal
tirī talāsh meñ phirte haiñ āftāb ka.ī
so ab ye farz hai tujh par ki sā.ebāñ se nikal
tamām shahr pe ik ḳhāmushī musallat hai
ab aisā kar ki kisī din mirī zabāñ se nikal
maqām-e-vasl to arz-o-samā ke biich meñ hai
maiñ is zamīn se niklūñ tū āsmāñ se nikal
maiñ apnī zaat meñ tārīkiyāñ sameTe huuñ
tū ik charāġh jalā aur ab yahāñ se nikal
kahā thā mujh se bhī ik din havā-e-sahrā ne
mirī panāh meñ aa jā ġhubār-e-jāñ se nikal
fasil-e-jism gira de makan-e-jaan se nikal
ye intishaar-zada shahr hai yahan se nikal
teri talash mein phirte hain aaftab kai
so ab ye farz hai tujh par ki saeban se nikal
tamam shahr pe ek KHamushi musallat hai
ab aisa kar ki kisi din meri zaban se nikal
maqam-e-wasl to arz-o-sama ke bich mein hai
main is zamin se niklun tu aasman se nikal
main apni zat mein tarikiyan sameTe hun
tu ek charagh jala aur ab yahan se nikal
kaha tha mujh se bhi ek din hawa-e-sahra ne
meri panah mein aa ja ghubar-e-jaan se nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.