Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lahu ki mauj mein jina mere hisse mein aaya hai

Kahkashan Tabassum

lahu ki mauj mein jina mere hisse mein aaya hai

Kahkashan Tabassum

MORE BYKahkashan Tabassum

    lahū mauj meñ jiinā mire hisse meñ aayā hai

    bhañvar bantā huā dariyā mire hisse meñ aayā hai

    sunahrī ahd-e-māzī rivāyat ham se thī lekin

    faqat dīmak lagā pannā mire hisse meñ aayā hai

    parinde āshiyāna chhoḌ ke kis samt nikle

    dukhoñ ik shajar tanhā mire hisse meñ aayā hai

    rupahlī chāñdnī us ko amīr-e-shahr baḳhshish

    sulagtī dhuup sahrā mire hisse meñ aayā hai

    darīche khol ke bhī rut andāza na kar pā.ūñ

    ajab dahshat-zada lamha mire hisse meñ aayā hai

    'tabassum' haath meñ jugnū liye dar-dar bhaTaktī huuñ

    ki ghāyal raat nauha mire hisse meñ aayā hai

    lahu ki mauj mein jina mere hisse mein aaya hai

    bhanwar banta hua dariya mere hisse mein aaya hai

    sunahri ahd-e-mazi ki riwayat hum se thi lekin

    faqat dimak laga panna mere hisse mein aaya hai

    parinde aashiyana chhoD ke kis samt ja nikle

    dukhon ka ek shajar tanha mere hisse mein aaya hai

    rupahli chandni us ko amir-e-shahr ki baKHshish

    sulagti dhup ka sahra mere hisse mein aaya hai

    dariche khol ke bhi rut ka andaza na kar paun

    ajab dahshat-zada lamha mere hisse mein aaya hai

    'tabassum' hath mein jugnu liye dar-dar bhaTakti hun

    ki ghayal raat ka nauha mere hisse mein aaya hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now