fikr mein muft umr khona hai
fikr meñ muft umr khonā hai
ho chukā hai jo kuchh ki honā hai
khel sab chhoḌ khel apnā khel
aap qudrat kā tū khilaunā hai
aañkh Tuk khol dīd-e-qudarat kar
phir to paañv pasār sonā hai
chup rahā kar baḌoñ kī majlis meñ
ye bhī ek āfiyat kā konā hai
merā ma.ashūq hai mazoñ meñ bharā
kabhū mīThā kabhū salonā hai
chhal-bal us kī nigāh kā mat pūchh
sehr hai ToTkā hai Tonā hai
ro tū 'hātim' 'husain' ke ġham meñ
aur ronā to raañD ronā hai
fikr mein muft umr khona hai
ho chuka hai jo kuchh ki hona hai
khel sab chhoD khel apna khel
aap qudrat ka tu khilauna hai
aankh Tuk khol did-e-qudarat kar
phir to panw pasar sona hai
chup raha kar baDon ki majlis mein
ye bhi ek aafiyat ka kona hai
mera mashuq hai mazon mein bhara
kabhu miTha kabhu salona hai
chhal-bal us ki nigah ka mat puchh
sehr hai ToTka hai Tona hai
ro tu 'hatim' 'husain' ke gham mein
aur rona to ranD rona hai
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 289)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.