Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ganw se guzrega aur miTTi ke ghar le jaega

Jamuna Parsad Rahi

ganw se guzrega aur miTTi ke ghar le jaega

Jamuna Parsad Rahi

MORE BYJamuna Parsad Rahi

    gaañv se guzregā aur miTTī ke ghar le jā.egā

    ek din dariyā sabhī dīvār o dar le jā.egā

    ghar tanhā.ī meñ yuuñ mahsūs hotā hai mujhe

    jaise koī mujh ko mujh se chhīn kar le jā.egā

    kaun degā us ko merī tah-nashīnī patā

    kaun mere Duub jaane ḳhabar le jā.egā

    aa.ine vīrāñ-nigāhī sabab ban jā.eñge

    ḳhud-pasandī junūñ tāb-e-nazar le jā.egā

    sub.h ke siine se phūTegī shuā-e-mehr-e-nau

    sab añdhere raat ke dast-e-sahar le jā.egā

    jazba-e-johd-e-musalsal hai binā-e-zindagī

    ye gayā to saarā jiine hunar le jā.egā

    ganw se guzrega aur miTTi ke ghar le jaega

    ek din dariya sabhi diwar o dar le jaega

    ghar ki tanhai mein yun mahsus hota hai mujhe

    jaise koi mujh ko mujh se chhin kar le jaega

    kaun dega us ko meri tah-nashini ka pata

    kaun mere Dub jaane ki KHabar le jaega

    aaine viran-nigahi ka sabab ban jaenge

    KHud-pasandi ka junun tab-e-nazar le jaega

    subh ke sine se phuTegi shua-e-mehr-e-nau

    sab andhere raat ke dast-e-sahar le jaega

    jazba-e-johd-e-musalsal hai bina-e-zindagi

    ye gaya to sara jine ka hunar le jaega

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ganw se guzrega aur miTTi ke ghar le jaega Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now