ghair ko tum na aankh bhar dekho
ġhair ko tum na aañkh bhar dekho
kyā ġhazab karte ho idhar dekho
ḳhaak meñ mat milāo dil ko mire
jī meñ samjho Tuk apnā ghar dekho
dekhnā zulf-o-ruḳh tumheñ har vaqt
shaam dekho na tum sahar dekho
gul hue jaate haiñ charāġh kī tarh
ham ko Tuk jald aan kar dekho
aap pe apnā iḳhtiyār nahīñ
jabr hai ham pe kis qadar dekho
raam bātoñ meñ to vo ho na sakā
naqsh o afsūñ bhī koī kar dekho
laḳht-e-dil tum na samjho mizhgāñ par
āshiqī kā ye hai samar dekho
vasl hotā nahīñ bhalā kyūñkar
apnī hastī se to guzar dekho
dekhte hī nahīñ to kyā kahiye
kahiye tab haal kuchh agar dekho
Dhalte ho tum butāñ udhar dil se
āj-kal jis ke haath zar dekho
ishq-bāzī se baaz aao 'hasan'
chhoḌ do apnā ye hunar dekho
ghair ko tum na aankh bhar dekho
kya ghazab karte ho idhar dekho
KHak mein mat milao dil ko mere
ji mein samjho Tuk apna ghar dekho
dekhna zulf-o-ruKH tumhein har waqt
sham dekho na tum sahar dekho
gul hue jate hain charagh ki tarh
hum ko Tuk jald aan kar dekho
aap pe apna iKHtiyar nahin
jabr hai hum pe kis qadar dekho
ram baaton mein to wo ho na saka
naqsh o afsun bhi koi kar dekho
laKHt-e-dil tum na samjho mizhgan par
aashiqi ka ye hai samar dekho
wasl hota nahin bhala kyunkar
apni hasti se to guzar dekho
dekhte hi nahin to kya kahiye
kahiye tab haal kuchh agar dekho
Dhalte ho tum butan udhar dil se
aaj-kal jis ke hath zar dekho
ishq-bazi se baz aao 'hasan'
chhoD do apna ye hunar dekho
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.