Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghairon se dad-e-jaur-o-jafa li gai to kya

Iftikhar Arif

ghairon se dad-e-jaur-o-jafa li gai to kya

Iftikhar Arif

ġhairoñ se dād-e-jaur-o-jafā ga.ī to kyā

ghar ko jalā ke ḳhaak uḌā ga.ī to kyā

ġhārat-garī-e-shahr meñ shāmil hai kaun kaun

ye baat ahl-e-shahr pe khul bhī ga.ī to kyā

ik ḳhvāb to thā jo farāmosh ho gayā

ik yaad to thī jo bhulā ga.ī to kyā

mīsāq-e-aitabār meñ thī ik vafā shart

ik shart to thī jo uThā ga.ī to kyā

qānūn-e-bāġh-bāni-e-sahra sarnavisht

likkhī ga.ī to kyā jo na likkhī ga.ī to kyā

is qahat-o-inhedām-e-rivāyat ke ahd meñ

tālīf nusḳha-hā-e-vafā ga.ī to kyā

jab 'mīr' o 'mīrzā' ke suḳhan rā.egāñ ga.e

ik be-hunar baat na samjhī ga.ī to kyā

ghairon se dad-e-jaur-o-jafa li gai to kya

ghar ko jala ke KHak uDa di gai to kya

ghaarat-gari-e-shahr mein shamil hai kaun kaun

ye baat ahl-e-shahr pe khul bhi gai to kya

ek KHwab hi to tha jo faramosh ho gaya

ek yaad hi to thi jo bhula di gai to kya

misaq-e-aitabar mein thi ek wafa ki shart

ek shart hi to thi jo uTha di gai to kya

qanun-e-bagh-bani-e-sahra ki sarnawisht

likkhi gai to kya jo na likkhi gai to kya

is qahat-o-inhedam-e-riwayat ke ahd mein

talif nusKHa-ha-e-wafa ki gai to kya

jab 'mir' o 'mirza' ke suKHan raegan gae

ek be-hunar ki baat na samjhi gai to kya

RECITATIONS

Iftikhar Arif

Iftikhar Arif,

00:00/00:00
Iftikhar Arif

ghairon se dad-e-jaur-o-jafa li gai to kya Iftikhar Arif

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now