ghairon se mil ke hi sahi be-bak to hua
ġhairoñ se mil ke hī sahī be-bāk to huā
baare vo shoḳh pahle se chālāk to huā
jī ḳhush huā hai girte makānoñ ko dekh kar
ye shahr ḳhauf-e-ḳhud se jigar-chāk to huā
ye to huā ki aadmī pahuñchā hai maah tak
kuchh bhī huā vo vāqif-e-aflāk to huā
kuchh aur vo huā na huā mujh ko dekh kar
yād-e-bahār-e-husn se ġhamnāk to huā
is kashmakash meñ ham bhī thake to haiñ ai 'munīr'
shahr-e-ḳhudā sitam se magar paak to huā
ghairon se mil ke hi sahi be-bak to hua
bare wo shoKH pahle se chaalak to hua
ji KHush hua hai girte makanon ko dekh kar
ye shahr KHauf-e-KHud se jigar-chaak to hua
ye to hua ki aadmi pahuncha hai mah tak
kuchh bhi hua wo waqif-e-aflak to hua
kuchh aur wo hua na hua mujh ko dekh kar
yaad-e-bahaar-e-husn se ghamnak to hua
is kashmakash mein hum bhi thake to hain ai 'munir'
shahr-e-KHuda sitam se magar pak to hua
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 405)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.