gham mein ahd-e-shabab jata hai
ġham meñ ahd-e-shabāb jaatā hai
āsmāñ ḳhaak meñ milātā hai
kaun gul bahr-e-sair aatā hai
baaġh phūlā nahīñ samātā hai
arsh par bhī ġhubār jaatā hai
dil jo vahshat meñ ḳhaak uḌātā hai
jaan detā hai sabza-e-ḳhat par
ḳhizr har roz zahr khātā hai
teġh-e-qātil jo ho ga.ī be-āb
zaḳhm paanī magar churātā hai
zinde marte haiñ murde jiite haiñ
jab vo rashk-e-masīh gaatā hai
sahar-e-shām-e-vasl hai shab-gor
maut aatī hai yaar jaatā hai
achchhī paḌtī hai jab koī talvār
dahan-e-zaḳhm muskurātā hai
ḳhūn-e-ushshāq kā uThā biiḌā
be-sabab kab vo paan khātā hai
jigar-e-sañg ho jahāñ paanī
vo vahāñ mujh ko āzmātā hai
tū jo gul hai to maiñ bhī shabnam huuñ
mujhe hañsnā tirā rulātā hai
ḳhush ye marne se huuñ mirā lāsha
gor meñ bhī nahīñ samātā hai
lāla-e-koh se huā sābit
ḳhūn-e-fariyād josh khātā hai
laakh taqlīd kījiye ai 'arsh'
par kab andāz-e-'mīr' aatā hai
gham mein ahd-e-shabab jata hai
aasman KHak mein milata hai
kaun gul bahr-e-sair aata hai
bagh phula nahin samata hai
arsh par bhi ghubar jata hai
dil jo wahshat mein KHak uData hai
jaan deta hai sabza-e-KHat par
KHizr har roz zahr khata hai
tegh-e-qatil jo ho gai be-ab
zaKHm pani magar churaata hai
zinde marte hain murde jite hain
jab wo rashk-e-masih gata hai
sahar-e-sham-e-wasl hai shab-gor
maut aati hai yar jata hai
achchhi paDti hai jab koi talwar
dahan-e-zaKHm muskuraata hai
KHun-e-ushshaq ka uTha biDa
be-sabab kab wo pan khata hai
jigar-e-sang ho jahan pani
wo wahan mujh ko aazmata hai
tu jo gul hai to main bhi shabnam hun
mujhe hansna tera rulata hai
KHush ye marne se hun mera lasha
gor mein bhi nahin samata hai
lala-e-koh se hua sabit
KHun-e-fariyaad josh khata hai
lakh taqlid kijiye ai 'arsh'
par kab andaz-e-'mir' aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.