Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gharib hum hain gharibon ki bhi KHushi ho jae

Riyaz Khairabadi

gharib hum hain gharibon ki bhi KHushi ho jae

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    ġharīb ham haiñ ġharīboñ bhī ḳhushī ho jaa.e

    nazar huzūr idhar bhī kabhī kabhī ho jaa.e

    ġhurūr bhī jo karūñ maiñ to ājizī ho jaa.e

    ḳhudī meñ lutf vo aa.e ki be-ḳhudī ho jaa.e

    ġham-e-firāq saḳhtī visāl se badle

    jo maut aa.e mujhe merī zindagī ho jaa.e

    mirī sharāb kyā qadr tujh ko ai vaa.iz

    jise maiñ ke duā duuñ vo jannatī ho jaa.e

    maiñ us nigāh ke sadqe ye ho asar jis meñ

    ki dil meñ dard bhī uTThe to gudgudī ho jaa.e

    sitam bhī ho to sitam meñ vo lutf pinhāñ ho

    ki naala aa ke mire hoñTh par hañsī ho jaa.e

    na pūchho bāda-gusārān-e-bazm-e-'vāris'

    ye dekh leñ sū-e-vā.iz to vo valī ho jaa.e

    haTā rahā huuñ shab-o-roz is liye ḳhud ko

    fanā ke raaz se mujh ko bhī āgahī ho jaa.e

    tirī nigāh-e-karam se ajab nahīñ vāris

    'riyāz' sag-e-duniyā bhī aadmī ho jaa.e

    gharib hum hain gharibon ki bhi KHushi ho jae

    nazar huzur idhar bhi kabhi kabhi ho jae

    ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jae

    KHudi mein lutf wo aae ki be-KHudi ho jae

    gham-e-firaq ki saKHti visal se badle

    jo maut aae mujhe meri zindagi ho jae

    meri sharab ki kya qadr tujh ko ai waiz

    jise main pi ke dua dun wo jannati ho jae

    main us nigah ke sadqe ye ho asar jis mein

    ki dil mein dard bhi uTThe to gudgudi ho jae

    sitam bhi ho to sitam mein wo lutf pinhan ho

    ki nala aa ke mere honTh par hansi ho jae

    na puchho baada-gusaran-e-bazm-e-'waris' ki

    ye dekh len su-e-waiz to wo wali ho jae

    haTa raha hun shab-o-roz is liye KHud ko

    fana ke raaz se mujh ko bhi aagahi ho jae

    teri nigah-e-karam se ajab nahin waris

    'riyaz' sa sag-e-duniya bhi aadmi ho jae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now