tujhe pukara hai be-irada
tujhe pukārā hai be-irāda
jo dil dukhā hai bahut ziyāda
nadīm ho terā harf-e-shīrīñ
to rañg par aa.e rañg-e-bāda
atā karo ik adā-e-dairīñ
to ashk se tar kareñ libāda
na jaane kis din se muntazir hai
dil-e-sar-e-rah-guzar fitāda
ki ek din phir nazar meñ aa.e
vo bām-e-raushan vo dar kushāda
vo aa.e pursish ko phir sajā.e
qabā-e-rañgīñ adā-e-sādā
tujhe pukara hai be-irada
jo dil dukha hai bahut ziyaada
nadim ho tera harf-e-shirin
to rang par aae rang-e-baada
ata karo ek ada-e-dairin
to ashk se tar karen libaada
na jaane kis din se muntazir hai
dil-e-sar-e-rah-guzar fitada
ki ek din phir nazar mein aae
wo baam-e-raushan wo dar kushada
wo aae pursish ko phir sajae
qaba-e-rangin ada-e-sada
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 548)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.