ye gham to hai so hai ki gharib-ud-dayar hun
ye ġham to hai so hai ki ġharīb-ud-dayār huuñ
lekin jahāñ-jahāñ huuñ maiñ dīvāna-vār huuñ
is ke sivā ba-vaqt-e-du'ā kuchh na kah sakā
maiñ bhī to āḳhir ai mire parvardigār huuñ
terī 'atā hai ārzū-e-rozgār-e-ġham
merī ḳhatā hai said-e-ġham-e-rozgār huuñ
us kī talāsh hai to mujhe dekh lījiye
maiñ us kī āzmā.ishoñ kā ishtihār huuñ
zanjīr huuñ to uljhī huī apne aap se
maiñ tiir huuñ to apne hī siine ke paar huuñ
maiñ ḳhaar thā to apne hī andar gaḌā huā
āzār thā to aaj talak barqarār huuñ
ḳhāmoshī thī to ab bhī vahī hai mirā mizāj
ġham-koshī thī to ab bhī usī kā shikār huuñ
ġham ke liye kuchh aur ḳhushī ke liye kuchh aur
jā-e-panāh huuñ kahīñ rāh-e-farār huuñ
yā'nī 'urūj hī meñ nihāñ hai mirā zavāl
pahle maiñ dil-gudāz thā ab dil-figār huuñ
tū kaun hai tū vaj.h hai mere vujūd kī
maiñ kaun huuñ maiñ ārzuoñ kā mazār huuñ
qaa.em raheñ vo jin kī badaulat hai ye madār
daa.im raheñ vo jin kā maiñ dār-o-madār huuñ
ye gham to hai so hai ki gharib-ud-dayar hun
lekin jahan-jahan hun main diwana-war hun
is ke siwa ba-waqt-e-du'a kuchh na kah saka
main bhi to aaKHir ai mere parwardigar hun
teri 'ata hai aarzu-e-rozgar-e-gham
meri KHata hai said-e-gham-e-rozgar hun
us ki talash hai to mujhe dekh lijiye
main us ki aazmaishon ka ishtihaar hun
zanjir hun to uljhi hui apne aap se
main tir hun to apne hi sine ke par hun
main KHar tha to apne hi andar gaDa hua
aazar tha to aaj talak barqarar hun
KHamoshi thi to ab bhi wahi hai mera mizaj
gham-koshi thi to ab bhi usi ka shikar hun
gham ke liye kuchh aur KHushi ke liye kuchh aur
ja-e-panah hun kahin rah-e-farar hun
ya'ni 'uruj hi mein nihan hai mera zawal
pahle main dil-gudaz tha ab dil-figar hun
tu kaun hai tu wajh hai mere wujud ki
main kaun hun main aarzuon ka mazar hun
qaem rahen wo jin ki badaulat hai ye madar
daim rahen wo jin ka main dar-o-madar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.