Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

giraftari ke sab harbe shikari le ke nikla hai

Raoof Khair

giraftari ke sab harbe shikari le ke nikla hai

Raoof Khair

giraftārī ke sab harbe shikārī le ke niklā hai

parinda bhī shikārī supārī le ke niklā hai

nikalne vaalā ye kaisī savārī le ke niklā hai

madārī jaise sāñpoñ piTārī le ke niklā hai

bahar-qīmat vafādārī saarī le ke niklā hai

hathelī par agar vo jaan pyārī le ke niklā hai

safari suiT meñ TaTa safari le ke niklā hai

vo lekin zehn o dil par bojh bhārī le ke niklā hai

yaqīnan hijratoñ jānkārī le ke niklā hai

agar apne ghar se be-qarārī le ke niklā hai

khilaune taḌap meñ ḳhud khilaunā vo na ban jaa.e

mirā bachcha saḌak par rezgārī le ke niklā hai

agar duniyā bhī mil jaa.e rahegā haath phailā.e

ajab kashkol duniyā bhikārī le ke niklā hai

ḳhatā-kārī mirī ummīd-vār-e-dāman-e-rahmat

magar muftī to qur.ān o buḳhārī le ke niklā hai

jhalaktā hai mizāj-e-shahryārī har bun-e-mū se

ba-zāhir 'ḳhair' harf-e-ḳhāksārī le ke niklā hai

giraftari ke sab harbe shikari le ke nikla hai

parinda bhi shikari ki supari le ke nikla hai

nikalne wala ye kaisi sawari le ke nikla hai

madari jaise sanpon ki piTari le ke nikla hai

bahar-qimat wafadari hi sari le ke nikla hai

hatheli par agar wo jaan pyari le ke nikla hai

safari suiT mein TaTa safari le ke nikla hai

wo lekin zehn o dil par bojh bhaari le ke nikla hai

yaqinan hijraton ki jaankari le ke nikla hai

agar apne hi ghar se be-qarari le ke nikla hai

khilaune ki taDap mein KHud khilauna wo na ban jae

mera bachcha saDak par rezgari le ke nikla hai

agar duniya bhi mil jae rahega hath phailae

ajab kashkol duniya ka bhikari le ke nikla hai

KHata-kari meri ummid-war-e-daman-e-rahmat

magar mufti to quran o buKHari le ke nikla hai

jhalakta hai mizaj-e-shahryari har bun-e-mu se

ba-zahir 'KHair' harf-e-KHaksari le ke nikla hai

RECITATIONS

Raoof Khair

Raoof Khair,

00:00/00:00
Raoof Khair

giraftari ke sab harbe shikari le ke nikla hai Raoof Khair

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now