Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

puchha kisi ne haal kisi ka to ro diye

Saghar Siddiqui

puchha kisi ne haal kisi ka to ro diye

Saghar Siddiqui

pūchhā kisī ne haal kisī to ro diye

paanī meñ 'aks chāñd dekhā to ro diye

naġhma kisī ne saaz pe chheḌā to ro diye

ġhuncha kisī ne shāḳh se toḌā to ro diye

uḌtā huā ġhubār sar-e-rāh dekh kar

anjām ham ne 'ishq sochā to ro diye

bādal fazā meñ aap tasvīr ban ga.e

saaya koī ḳhayāl se guzrā to ro diye

rang-e-shafaq se aag shagūfoñ meñ lag ga.ī

sāġhar hamāre haath se chhalkā to ro diye

puchha kisi ne haal kisi ka to ro diye

pani mein 'aks chand ka dekha to ro diye

naghma kisi ne saz pe chheDa to ro diye

ghuncha kisi ne shaKH se toDa to ro diye

uDta hua ghubar sar-e-rah dekh kar

anjam hum ne 'ishq ka socha to ro diye

baadal faza mein aap ki taswir ban gae

saya koi KHayal se guzra to ro diye

rang-e-shafaq se aag shagufon mein lag gai

saghar hamare hath se chhalka to ro diye

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

puchha kisi ne haal kisi ka to ro diye Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now