Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulshan ki faqat phulon se nahin kanTon se bhi zinat hoti hai

Saba Afghani

gulshan ki faqat phulon se nahin kanTon se bhi zinat hoti hai

Saba Afghani

MORE BYSaba Afghani

    gulshan faqat phūloñ se nahīñ kāñToñ se bhī zīnat hotī hai

    jiine ke liye is duniyā meñ ġham bhī zarūrat hotī hai

    har shām-o-sahar qurbāñ jis par duniyā-e-masarrat hotī hai

    vo paikar-e-rāhat kyā jaane kaisī shab-e-furqat hotī hai

    ai vā.iz-e-nādān kartā hai ek qayāmat charchā

    yaañ roz nigāheñ miltī haiñ yaañ roz qayāmat hotī hai

    karnā paḌegā zabt-e-alam piine paḌeñge ye aañsū

    fariyād-o-fuġhāñ se ai nādāñ tauhīn-e-mohabbat hotī hai

    vo pursish-e-ġham ko aa.e haiñ kuchh kah na sakūñ chup rah na sakūñ

    ḳhāmosh rahūñ to mushkil hai kah duuñ to shikāyat hotī hai

    ai dost judā.ī meñ terī kuchh aise bhī lamhe aate haiñ

    sejoñ pe bhī taḌpā kartā huuñ kāñToñ pe bhī rāhat hotī hai

    jo aa ke ruke dāman pe 'sabā' vo ashk nahīñ hai paanī hai

    jo ashk na chhalke āñkhoñ se us ashk qīmat hotī hai

    gulshan ki faqat phulon se nahin kanTon se bhi zinat hoti hai

    jine ke liye is duniya mein gham ki bhi zarurat hoti hai

    har sham-o-sahar qurban jis par duniya-e-masarrat hoti hai

    wo paikar-e-rahat kya jaane kaisi shab-e-furqat hoti hai

    ai waiz-e-nadan karta hai tu ek qayamat ka charcha

    yan roz nigahen milti hain yan roz qayamat hoti hai

    karna hi paDega zabt-e-alam pine hi paDenge ye aansu

    fariyaad-o-fughan se ai nadan tauhin-e-mohabbat hoti hai

    wo pursish-e-gham ko aae hain kuchh kah na sakun chup rah na sakun

    KHamosh rahun to mushkil hai kah dun to shikayat hoti hai

    ai dost judai mein teri kuchh aise bhi lamhe aate hain

    sejon pe bhi taDpa karta hun kanTon pe bhi rahat hoti hai

    jo aa ke ruke daman pe 'saba' wo ashk nahin hai pani hai

    jo ashk na chhalke aankhon se us ashk ki qimat hoti hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Jagjit Singh

    Jagjit Singh

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now